zid na kar mat samay milan ka ujaD
zid na kar mat samay milan kā ujaaḌ
priit kā rog tujh ko degā pachhāḌ
baiTh kar ghar meñ likh na.e ash.ār
jā ke saḌkoñ pe laḌkiyoñ ko na taaḌ
ishq aur vasl do ruḳh ik tasvīr
raa.ī ko to samajh rahī hai pahāḌ
dekh ab kitne shādmāñ haiñ ye log
Daal kar mujh meñ aur tujh meñ bigāḌ
ras kī har lahr ke ajab mausam
dhuup ke poh chāñdnī ke asāḌh
kab talak us kī dhun meñ ghūmegā
boot kī To pe chipkī gard ko jhaaḌ
Dhaltī raat intizār ik parchhā.īñ
sabza bañgla siyah gulāb kī baaḌ
zid na kar mat samay milan ka ujaD
prit ka rog tujh ko dega pachhaD
baiTh kar ghar mein likh nae ashaar
ja ke saDkon pe laDkiyon ko na taD
ishq aur wasl do ruKH ek taswir
rai ko to samajh rahi hai pahaD
dekh ab kitne shadman hain ye log
Dal kar mujh mein aur tujh mein bigaD
ras ki har lahr ke ajab mausam
dhup ke poh chandni ke asaDh
kab talak us ki dhun mein ghumega
boot ki To pe chipki gard ko jhaD
Dhalti raat intizar ek parchhain
sabza bangla siyah gulab ki baD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.