zinat hun anguThi ki na loket mein juDa hun
zīnat huuñ añgūThī kī na loket meñ juḌā huuñ
maiñ ek nagīna huuñ pe miTTī meñ paḌā huuñ
kyuuñ zaat ke gumbad meñ har ik shaḳhs huā qaid
kab se inhīñ sochoñ ke dorāhe pe khaḌā huuñ
tum saath mirā aa ke jahāñ chhoḌ ga.e the
maiñ aaj bhī tanhā usī sangam pe khaḌā huuñ
mauqif se maiñ haT jā.ūñ ye mumkin nahīñ hargiz
patthar kī tarah dhartī ke siine pe gaḌā huuñ
barsā.eñ 'zuhair' ahl-e-jahāñ sang to kyā hai
maiñ kāñch kā pyāla huuñ na miTTī kā ghaḌā huuñ
zinat hun anguThi ki na loket mein juDa hun
main ek nagina hun pe miTTi mein paDa hun
kyun zat ke gumbad mein har ek shaKHs hua qaid
kab se inhin sochon ke dorahe pe khaDa hun
tum sath mera aa ke jahan chhoD gae the
main aaj bhi tanha usi sangam pe khaDa hun
mauqif se main haT jaun ye mumkin nahin hargiz
patthar ki tarah dharti ke sine pe gaDa hun
barsaen 'zuhair' ahl-e-jahan sang to kya hai
main kanch ka pyala hun na miTTi ka ghaDa hun
- Book : Dariche (Pg. 38)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.