zist aaghaz se itmam-e-safar hone tak
ziist āġhāz se itmām-e-safar hone tak
ik muamma hī rahī umr basar hone tak
ho na jaa.eñ kahīñ nairangī-e-dil se mahrūm
log shā.ista-e-tahzīb-e-nazar hone tak
jaane kitne ġham-o-ālām kā paikar hogī
zindagī lā.eq-e-takmīl-e-safar hone tak
ye bhī hai dam se hamāre hai vajūd-e-hastī
aur ham silsila-e-shām-o-sahar hone tak
jaane kyā chāhiye ab dair-o-haram se haT kar
sajda-e-ishq ko āsūda-e-dar hone tak
ye to ham jānte haiñ ham na raheñge ai dil
nazar-e-lutf-o-karam un kī idhar hone tak
sard-mehrī kā yahī haal agar hai saaqī
dekhiye kaun jiye vā tirā dar hone tak
rāz-e-sar-basta rahe yuuñ ki kisī par na khule
jazba-e-zauq-e-talab husn-e-nazar hone tak
un ke va.ade kā yaqīñ ho na ho lekin 'zamzam'
kyā ḳhabar ham na raheñ kal kī sahar hone tak
zist aaghaz se itmam-e-safar hone tak
ek muamma hi rahi umr basar hone tak
ho na jaen kahin nairangi-e-dil se mahrum
log shaista-e-tahzib-e-nazar hone tak
jaane kitne gham-o-alam ka paikar hogi
zindagi laeq-e-takmil-e-safar hone tak
ye bhi hai dam se hamare hai wajud-e-hasti
aur hum silsila-e-sham-o-sahar hone tak
jaane kya chahiye ab dair-o-haram se haT kar
sajda-e-ishq ko aasuda-e-dar hone tak
ye to hum jaante hain hum na rahenge ai dil
nazar-e-lutf-o-karam un ki idhar hone tak
sard-mehri ka yahi haal agar hai saqi
dekhiye kaun jiye wa tera dar hone tak
raaz-e-sar-basta rahe yun ki kisi par na khule
jazba-e-zauq-e-talab husn-e-nazar hone tak
un ke wade ka yaqin ho na ho lekin 'zamzam'
kya KHabar hum na rahen kal ki sahar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.