zist be-barg-o-samar ho jaise
ziist be-barg-o-samar ho jaise
koī barbād shajar ho jaise
Duub jaatā hai har ik manzar-e-ḳhvāb
terī āñkhoñ meñ bhañvar ho jaise
koī do pal bhī Thahartā hī nahīñ
dil ki ujḌā huā ghar ho jaise
yuuñ ḳhalāoñ meñ takā karte haiñ
duur tak rāhguzar ho jaise
zindagī hai ki ufuq-tā-ba-ufuq
ik ghanī chup kā safar ho jaise
zist be-barg-o-samar ho jaise
koi barbaad shajar ho jaise
Dub jata hai har ek manzar-e-KHwab
teri aankhon mein bhanwar ho jaise
koi do pal bhi Thaharta hi nahin
dil ki ujDa hua ghar ho jaise
yun KHalaon mein taka karte hain
dur tak rahguzar ho jaise
zindagi hai ki ufuq-ta-ba-ufuq
ek ghani chup ka safar ho jaise
- Book : سکوت دشت (Pg. 56)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.