Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zist ka Khaali kaTora aap hi bhar jaega

Ghulam Husain Ayaz

zist ka Khaali kaTora aap hi bhar jaega

Ghulam Husain Ayaz

MORE BYGhulam Husain Ayaz

    ziist ḳhālī kaTorā aap bhar jā.egā

    apne jaisā kisī din vo mujhe kar jā.egā

    shahr meñ koī na rah pā.egā benām-o-nishāñ

    jis taraf shīshe yūrish hogī patthar jā.egā

    naddiyāñ ab bhāgtī phirtī haiñ sahrā taraf

    ab to dariyā ke ta.āqub meñ samundar jā.egā

    kho chuke haiñ log apne apne chehroñ vaqār

    jo bhī jā.egā tirā ham-shakl ban kar jā.egā

    vo utarvā legā hoñToñ se libās-e-ḳhāmushī

    vo yahāñ koī na koī gul khilā kar jā.egā

    maiñ huuñ apne daur ke ik sāhab-e-fan kamāl

    aane vaalā mujh pe do aañsū bahā kar jā.egā

    jitnī duurī se sadā dete haiñ mujh ko vo 'ayāz'

    us bulandī par kahāñ merā muqaddar jā.egā

    zist ka KHali kaTora aap hi bhar jaega

    apne hi jaisa kisi din wo mujhe kar jaega

    shahr mein koi na rah paega benam-o-nishan

    jis taraf shishe ki yurish hogi patthar jaega

    naddiyan ab bhagti phirti hain sahra ki taraf

    ab to dariya ke taaqub mein samundar jaega

    kho chuke hain log apne apne chehron ka waqar

    jo bhi jaega tera ham-shakl ban kar jaega

    wo utarwa lega honTon se libas-e-KHamushi

    wo yahan koi na koi gul khila kar jaega

    main hun apne daur ke ek sahab-e-fan ka kamal

    aane wala mujh pe do aansu baha kar jaega

    jitni duri se sada dete hain mujh ko wo 'ayaz'

    us bulandi par kahan mera muqaddar jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now