zist ka khel rachane ki zarurat kya hai
ziist kā khel rachāne kī zarūrat kyā hai
rote lamhāt sajāne kī zarūrat kyā hai
yaad jab mujh ko tire saare karam haiñ jānāñ
phir ye ehsān jatāne kī zarūrat kyā hai
ishq se ishq zarūrī hai magar jān-e-azīz
sab ko ye baat batāne kī zarūrat kyā hai
ek mauhūm sahārā hai guzāre shab ke
baar is kā bhī uThāne kī zarūrat kyā hai
maiñ ga.e vaqt ko āvāz nahīñ de saktā
yuuñ bhī āvāz lagāne kī zarūrat kyā hai
phuul joḌe meñ sajāne ke liye hote haiñ
phuul paanī meñ bahāne kī zarūrat kyā hai
us kā chehra nazar aa jaa.e ki 'ādil' vo shaḳhs
jāntā bhī hai zamāne kī zarūrat kyā hai
zist ka khel rachane ki zarurat kya hai
rote lamhat sajaane ki zarurat kya hai
yaad jab mujh ko tere sare karam hain jaanan
phir ye ehsan jatane ki zarurat kya hai
ishq se ishq zaruri hai magar jaan-e-aziz
sab ko ye baat batane ki zarurat kya hai
ek mauhum sahaara hai guzare shab ke
bar is ka bhi uThane ki zarurat kya hai
main gae waqt ko aawaz nahin de sakta
yun bhi aawaz lagane ki zarurat kya hai
phul joDe mein sajaane ke liye hote hain
phul pani mein bahane ki zarurat kya hai
us ka chehra nazar aa jae ki 'adil' wo shaKHs
jaanta bhi hai zamane ki zarurat kya hai
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.