zist ke andhere mein raushni nahin aati
ziist ke añdhere meñ raushnī nahīñ aatī
yaad āj-kal mujh ko aap kī nahīñ aatī
maut se bahut pahle log marte dekhe haiñ
raas har kisī ko ye zindagī nahīñ aatī
aa.ina huuñ ulfat kā maiñ isī liye mujh ko
dostī to aatī hai dushmanī nahīñ aatī
aap jaise karte haiñ bhuul kar zamāne ko
us tarah mujhe karnī bandagī nahīñ aatī
jo bhī kaam karte haiñ dil lagā ke karte haiñ
aap kī qasam ham ko dil-lagī nahīñ aatī
jab talak shajar ko ham sīñchte nahīñ jaḌ tak
tab talak to us meñ bhī tāzgī nahīñ aatī
kar diyā hai zaḳhmoñ ne 'yāsmīñ' kā dil patthar
muskurāte hoñToñ par ab hañsī nahīñ aatī
zist ke andhere mein raushni nahin aati
yaad aaj-kal mujh ko aap ki nahin aati
maut se bahut pahle log marte dekhe hain
ras har kisi ko ye zindagi nahin aati
aaina hun ulfat ka main isi liye mujh ko
dosti to aati hai dushmani nahin aati
aap jaise karte hain bhul kar zamane ko
us tarah mujhe karni bandagi nahin aati
jo bhi kaam karte hain dil laga ke karte hain
aap ki qasam hum ko dil-lagi nahin aati
jab talak shajar ko hum sinchte nahin jaD tak
tab talak to us mein bhi tazgi nahin aati
kar diya hai zaKHmon ne 'yasmin' ka dil patthar
muskuraate honTon par ab hansi nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.