zist ke tajrabe ki baaten hain
ziist ke tajrabe kī bāteñ haiñ
ishq meñ sab pate kī bāteñ haiñ
merī barbādiyoñ ke haiñ qisse
aur tire sochne kī bāteñ haiñ
jaane kyā kyā utartā hai dil par
jaane kis kis samay kī bāteñ haiñ
ḳhāl-o-ḳhad saarā kuchh nahīñ kahte
is meñ kuchh aa.ine kī bāteñ haiñ
tum chaloge to maiñ batā.uñgā
ek do rāste kī bāteñ haiñ
merā nuqsān hai sarāsar dekh
aur tire fā.ede kī bāteñ haiñ
kyā kabhī lauT kar bhī aa.e log
ye tire bachpane kī bāteñ haiñ
ham ne kaise kiyā tujhe ruḳhsat
ye baḌe hausle kī bāteñ haiñ
'yūsufī' se kabhī mile ho tum
us kī bāteñ maze kī bāteñ haiñ
zist ke tajrabe ki baaten hain
ishq mein sab pate ki baaten hain
meri barbaadiyon ke hain qisse
aur tere sochne ki baaten hain
jaane kya kya utarta hai dil par
jaane kis kis samay ki baaten hain
KHal-o-KHad sara kuchh nahin kahte
is mein kuchh aaine ki baaten hain
tum chaloge to main bataunga
ek do raste ki baaten hain
mera nuqsan hai sarasar dekh
aur tere faede ki baaten hain
kya kabhi lauT kar bhi aae log
ye tere bachpane ki baaten hain
hum ne kaise kiya tujhe ruKHsat
ye baDe hausle ki baaten hain
'yusufi' se kabhi mile ho tum
us ki baaten maze ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.