zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai
ziist kī dhuup se yuuñ bach ke nikaltā kyuuñ hai
tū jo sūraj hai to phir saa.e meñ chaltā kyuuñ hai
tū jo patthar hai to phir palkoñ pe aañsū kaise
tū samundar hai to phir aag meñ jaltā kyuuñ hai
mere chehre meñ jo shā.ista-nazar aatā hai
merī shiryānoñ meñ vo shaḳhs ubaltā kyuuñ hai
kal tumhīñ ne use ye pyāla diyā thā yaaro
mo'tariz kyuuñ ho ki vo zahr ugaltā kyuuñ hai
merī sāñsoñ meñ sisakne kī sadā aatī hai
ek marghaT sā mire siine meñ jaltā kyuuñ hai
jaane kin zarroñ se us ḳhuuñ kī shanāsā.ī hai
paañv us moḌ pe hī aa ke phisaltā kyuuñ hai
mahfil-e-laġhv se tahzīb ne kyā lenā hai
aise shorīda-saroñ meñ tū sañbhaltā kyuuñ hai
zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai
tu jo suraj hai to phir sae mein chalta kyun hai
tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise
tu samundar hai to phir aag mein jalta kyun hai
mere chehre mein jo shaista-nazar aata hai
meri shiryanon mein wo shaKHs ubalta kyun hai
kal tumhin ne use ye pyala diya tha yaro
mo'tariz kyun ho ki wo zahr ugalta kyun hai
meri sanson mein sisakne ki sada aati hai
ek marghaT sa mere sine mein jalta kyun hai
jaane kin zarron se us KHun ki shanasai hai
panw us moD pe hi aa ke phisalta kyun hai
mahfil-e-laghw se tahzib ne kya lena hai
aise shorida-saron mein tu sanbhalta kyun hai
- Book : Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 71)
- Author : Aslam Habib
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.