zist ki had hai jahan tak himmat-e-mardana hai
ziist kī had hai jahāñ tak himmat-e-mardāna hai
aadmī tārīḳh hai aur aadmī afsāna hai
ḳhum kahīñ bharpūr hai ḳhālī kahīñ paimāna hai
tū kahāñ soī huī ai jur.at-e-rindāna hai
saarī duniyā ik fareb-e-jalva-e-jānāna hai
ye haram hai duur se nazdīk se but-ḳhāna hai
vaqt kā merī tarah un ko bhī hai shikva magar
mere shikva kā zarā andāz bebākāna hai
ye kisī ne bhī na dekhā aag parvāne meñ thī
ye zamāna dekhtā hai aag meñ parvāna hai
kuchh havā de deñ agar bairūn-e-dar kī koshisheñ
ghar jalāne ke liye hāzir charāġh-e-ḳhāna hai
tishnagī-e-shauq manzil tak salāmat le ke jā
hoshiyār ai rāh-rau har moḌ par mai-ḳhāna hai
pursish-e-ahvāl par juz-shukr kuchh kahte nahīñ
boriye par bhī mizāj-e-ahl-e-dil shāhāna hai
zist ki had hai jahan tak himmat-e-mardana hai
aadmi tariKH hai aur aadmi afsana hai
KHum kahin bharpur hai KHali kahin paimana hai
tu kahan soi hui ai jurat-e-rindana hai
sari duniya ek fareb-e-jalwa-e-jaanana hai
ye haram hai dur se nazdik se but-KHana hai
waqt ka meri tarah un ko bhi hai shikwa magar
mere shikwa ka zara andaz bebakana hai
ye kisi ne bhi na dekha aag parwane mein thi
ye zamana dekhta hai aag mein parwana hai
kuchh hawa de den agar bairun-e-dar ki koshishen
ghar jalane ke liye hazir charagh-e-KHana hai
tishnagi-e-shauq manzil tak salamat le ke ja
hoshiyar ai rah-rau har moD par mai-KHana hai
pursish-e-ahwal par juz-shukr kuchh kahte nahin
boriye par bhi mizaj-e-ahl-e-dil shahana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.