zist ki rah mein jitne mujhe gulzar mile
ziist kī raah meñ jitne mujhe gulzār mile
un meñ dekhā to faqat dhuul milī ḳhaar mile
bas usī vaqt se ahl-e-junūñ kahlā.e ga.e
us hasīñ but se jo ahl-e-ḳhirad ik baar mile
ai masīhā tujhe ik baar phir aanā hogā
terī duniyā meñ mujhe saiñkaḌoñ bīmār mile
shaiḳh sāhab hī kahīñ mujh ko nahīñ aa.e nazar
varna har tarah ke jannat meñ gunahgār mile
saath ahbāb nibhāte haiñ isī tarah 'majīd'
dam nikalne ko hai āñkheñ khulīñ aġhyār mile
zist ki rah mein jitne mujhe gulzar mile
un mein dekha to faqat dhul mili KHar mile
bas usi waqt se ahl-e-junun kahlae gae
us hasin but se jo ahl-e-KHirad ek bar mile
ai masiha tujhe ek bar phir aana hoga
teri duniya mein mujhe sainkaDon bimar mile
shaiKH sahab hi kahin mujh ko nahin aae nazar
warna har tarah ke jannat mein gunahgar mile
sath ahbab nibhate hain isi tarah 'majid'
dam nikalne ko hai aankhen khulin aghyar mile
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 137)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.