zist ki zulfen pareshan hain to suljhaega kaun
ziist kī zulfeñ pareshāñ haiñ to suljhā.egā kaun
hashr kā maidāñ hai duniyā kis ke kaam aa.egā kaun
jaan bachtī hai kisī kī jhuuT se to Thiik hai
ik zarā sī baat par jhūTī qasam khā.egā kaun
rahnumāoñ ko bhī bhaTkā dete hoñ jo rāh-rau
is qadar bhaTke huoñ ko raah par lā.egā kaun
qahr jab nāzil huā uḌne lage zālim ke hosh
zo'm thā nadān ko us par sitam Dhā.egā kaun
kahte haiñ ki ḳhuld mil jā.egī taqve se magar
ye haqīqat talḳh-tar hai is ko apnā.egā kaun
jalva-e-jānānāñ to maujūd hai maḳhfī magar
hazrat-e-mūsā nahīñ haiñ tuur par jā.egā kaun
zist ki zulfen pareshan hain to suljhaega kaun
hashr ka maidan hai duniya kis ke kaam aaega kaun
jaan bachti hai kisi ki jhuT se to Thik hai
ek zara si baat par jhuTi qasam khaega kaun
rahnumaon ko bhi bhaTka dete hon jo rah-rau
is qadar bhaTke huon ko rah par laega kaun
qahr jab nazil hua uDne lage zalim ke hosh
zo'm tha nadan ko us par sitam Dhaega kaun
kahte hain ki KHuld mil jaegi taqwe se magar
ye haqiqat talKH-tar hai is ko apnaega kaun
jalwa-e-jaananan to maujud hai maKHfi magar
hazrat-e-musa nahin hain tur par jaega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.