zist ko bad-rang kar de wo nahin sadma abhi
ziist ko bad-rang kar de vo nahīñ sadma abhī
tum ne dekhā hī nahīñ hai dard ko puurā abhī
sach bhī sharmā jā.egā sach dekh kar un kā abhī
sāmne se uTh gayā jo jhūTh kā pardā abhī
lauT aa.e haath ḳhālī koshishoñ ke bāvajūd
yaar matlab ye hai tum ne kuchh nahīñ Thānā abhī
haiñ judā ham tum magar ik rābta baaqī to hai
is liye donoñ kā ḳhālī-pan hai ik jaisā abhī
dekh lo ye vaqt kī ne'mat hai un kī asliyat
phir na kahnā chaḌh gayā jo chehre pe chehra abhī
yuuñ to jangal se nikal kar aa gayā hai aadmī
jānvar andar hai jo us ke nahīñ niklā abhī
zist ko bad-rang kar de wo nahin sadma abhi
tum ne dekha hi nahin hai dard ko pura abhi
sach bhi sharma jaega sach dekh kar un ka abhi
samne se uTh gaya jo jhuTh ka parda abhi
lauT aae hath KHali koshishon ke bawajud
yar matlab ye hai tum ne kuchh nahin Thana abhi
hain juda hum tum magar ek rabta baqi to hai
is liye donon ka KHali-pan hai ek jaisa abhi
dekh lo ye waqt ki ne'mat hai un ki asliyat
phir na kahna chaDh gaya jo chehre pe chehra abhi
yun to jangal se nikal kar aa gaya hai aadmi
jaanwar andar hai jo us ke nahin nikla abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.