zist ko chahaton se sajaya kahan
ziist ko chāhatoñ se sajāyā kahāñ
tum ne rūThe huoñ ko manāyā kahāñ
raushnī baañT kar tīrgī meñ rahe
apne hisse kā sūraj bachāyā kahāñ
ek hī baar hotī hai dil kī lagī
dil jo TuuTā to phir se lagāyā kahāñ
kab se āñkheñ bichhī haiñ ye dahlīz par
jaane vaalā palaT kar vo aaya kahāñ
sab mukhauTe ke andar bahut ḳhush hue
ham gire to kisī ne uThāyā kahāñ
log sāhil se lete rahe bas maza
Dūbte ko kisī ne bachāyā kahāñ
dhuup meñ ab dukhoñ kī akele haiñ sab
vo saroñ pe mohabbat kā saayā kahāñ
zist ko chahaton se sajaya kahan
tum ne ruThe huon ko manaya kahan
raushni banT kar tirgi mein rahe
apne hisse ka suraj bachaya kahan
ek hi bar hoti hai dil ki lagi
dil jo TuTa to phir se lagaya kahan
kab se aankhen bichhi hain ye dahliz par
jaane wala palaT kar wo aaya kahan
sab mukhauTe ke andar bahut KHush hue
hum gire to kisi ne uThaya kahan
log sahil se lete rahe bas maza
Dubte ko kisi ne bachaya kahan
dhup mein ab dukhon ki akele hain sab
wo saron pe mohabbat ka saya kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.