zist ko chahiye bas tera sahaara jaanan
ziist ko chāhiye bas terā sahārā jānāñ
ye sahārā hī to hai ek hamārā jānāñ
banda-parvar mirī taqdīr sañvar jā.egī
ik tirī chashm-e-karam se hai guzārā jānāñ
ishq kā ranj-o-alam dil meñ liye baiThe haiñ
tujh se shikva to nahīñ koī hamārā jānāñ
bahr-e-isyāñ meñ huuñ Duubā huā maiñ sar-tā-pā
terī baḳhshish kā mile mujh ko kinārā jānāñ
ātish-e-hijr ne gulshan ko kiyā hai vīrān
bārish-e-vasl kī hājat hai dobārā jānāñ
bāzī-e-ishq meñ dil haar gayā hai 'usmān'
haar kar jiit kahāñ us ko gavārā jānāñ
zist ko chahiye bas tera sahaara jaanan
ye sahaara hi to hai ek hamara jaanan
banda-parwar meri taqdir sanwar jaegi
ek teri chashm-e-karam se hai guzara jaanan
ishq ka ranj-o-alam dil mein liye baiThe hain
tujh se shikwa to nahin koi hamara jaanan
bahr-e-isyan mein hun Duba hua main sar-ta-pa
teri baKHshish ka mile mujh ko kinara jaanan
aatish-e-hijr ne gulshan ko kiya hai viran
barish-e-wasl ki hajat hai dobara jaanan
bazi-e-ishq mein dil haar gaya hai 'usman'
haar kar jit kahan us ko gawara jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.