ziist ko qismat se kaam dekhiye kab tak rahe
chhalkā huā dil kā jaam dekhiye kab tak rahe
kāñpte hoñToñ pe hai baat abhī uljhī huī
qissa-e-ġham nā-tamām dekhiye kab tak rahe
nabz bhī chaltī huī dil bhī dhaḌaktā huā
ārzū-e-sub.h-o-shām dekhiye kab tak rahe
jazb-e-vafā nā-tamām zauq-e-vafā be-sabāt
lab pe mohabbat kā naam dekhiye kab tak rahe
ab to hai badlī huī sāqiyā terī nazar
riñd ke hāthoñ meñ jaam dekhiye kab tak rahe
rāh-e-talab se mirī ḳhud to zamāna hai duur
mujh se zamāne ko kaam dekhiye kab tak rahe
saañs kī raftār se hasrateñ baḌhtī huī
qāfila ye tez-gām dekhiye kab tak rahe
terī tajallī to hai dair-o-haram se judā
hasrat-e-dil nā-tamām dekhiye kab tak rahe
arz-o-tamannā meñ hai rabt-o-asar bāhamī
'fazl' hameñ un se kaam dekhiye kab tak rahe
zist ko qismat se kaam dekhiye kab tak rahe
chhalka hua dil ka jam dekhiye kab tak rahe
kanpte honTon pe hai baat abhi uljhi hui
qissa-e-gham na-tamam dekhiye kab tak rahe
nabz bhi chalti hui dil bhi dhaDakta hua
aarzu-e-subh-o-sham dekhiye kab tak rahe
jazb-e-wafa na-tamam zauq-e-wafa be-sabaat
lab pe mohabbat ka nam dekhiye kab tak rahe
ab to hai badli hui saqiya teri nazar
rind ke hathon mein jam dekhiye kab tak rahe
rah-e-talab se meri KHud to zamana hai dur
mujh se zamane ko kaam dekhiye kab tak rahe
sans ki raftar se hasraten baDhti hui
qafila ye tez-gam dekhiye kab tak rahe
teri tajalli to hai dair-o-haram se juda
hasrat-e-dil na-tamam dekhiye kab tak rahe
arz-o-tamanna mein hai rabt-o-asar bahami
'fazl' hamein un se kaam dekhiye kab tak rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.