zist mein gham hain ham-safar phir bhi
ziist meñ ġham haiñ ham-safar phir bhī
tā-ajal karnā hai basar phir bhī
TūTī-phūTī huuñ chāhe dīvāreñ
apnā ghar to hai apnā ghar phir bhī
chāhe inkār ham kareñ sach kā
hove hai zehn par asar phir bhī
dil machaltā hai un se milne ko
ham churāte rahe nazar phir bhī
hai yaqīñ tum hameñ na bhūloge
ik zamāna gayā guzar phir bhī
haiñ ye alfāz dil lubhāne ke
kaash shāyad yūñhī magar phir bhī
zist mein gham hain ham-safar phir bhi
ta-ajal karna hai basar phir bhi
TuTi-phuTi hun chahe diwaren
apna ghar to hai apna ghar phir bhi
chahe inkar hum karen sach ka
howe hai zehn par asar phir bhi
dil machalta hai un se milne ko
hum churaate rahe nazar phir bhi
hai yaqin tum hamein na bhuloge
ek zamana gaya guzar phir bhi
hain ye alfaz dil lubhane ke
kash shayad yunhi magar phir bhi
- Book : Kahkashaan (Pg. 53)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.