zist mein gham ka asar kal ki tarah aaj bhi hai
ziist meñ ġham kā asar kal kī tarah aaj bhī hai
is safīne meñ bhañvar kal kī tarah aaj bhī hai
hādse kar na sake merī mohabbat ko fanā
dard-e-dil dard-e-jigar kal kī tarah aaj bhī hai
ġhair mumkin hai sañvar jaa.e gulistāñ kā nizām
bāġhbāñ tang-nazar kal kī tarah aaj bhī hai
dair-o-ka.aba kī fazāoñ kā nahīñ mujh pe asar
terī dahlīz pe sar kal kī tarah aaj bhī hai
hai vahī rang vahī husn vahī ra.anā.ī
terā kūcha tirā dar kal kī tarah aaj bhī hai
ham ne maanā ki bahār aa.ī hai maiḳhāne meñ
pyaas rindoñ meñ magar kal kī tarah aaj bhī hai
ye alag baat hai hoñToñ pe hañsī hai 'nayyar'
zaḳhm siine meñ magar kal kī tarah aaj bhī hai
zist mein gham ka asar kal ki tarah aaj bhi hai
is safine mein bhanwar kal ki tarah aaj bhi hai
hadse kar na sake meri mohabbat ko fana
dard-e-dil dard-e-jigar kal ki tarah aaj bhi hai
ghair mumkin hai sanwar jae gulistan ka nizam
baghban tang-nazar kal ki tarah aaj bhi hai
dair-o-kaba ki fazaon ka nahin mujh pe asar
teri dahliz pe sar kal ki tarah aaj bhi hai
hai wahi rang wahi husn wahi ranai
tera kucha tera dar kal ki tarah aaj bhi hai
hum ne mana ki bahaar aai hai maiKHane mein
pyas rindon mein magar kal ki tarah aaj bhi hai
ye alag baat hai honTon pe hansi hai 'nayyar'
zaKHm sine mein magar kal ki tarah aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.