zist mein manzar-e-fana usne dikha diya ki yun
zist mein manzar-e-fana usne dikha diya ki yun
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
ziist meñ manzar-e-fanā us ne dikhā diyā ki yuuñ
likh ke hamāre naam ko ḳhud hī miTā diyā ki yuuñ
maiñ ne kahā ki tuur par ġhash hue kis tarah kalīm
sun ke harīm-e-nāz kā parda uThā diyā ki yuuñ
shor machā hai kis liye fitne hue haiñ kyoñ bapā
un ke ḳhirām-e-nāz ne mujh ko batā diyā ki yuuñ
maiñ ne kahā ki abr meñ aatā hai chāñd kis tarah
chhoḌ ke muñh pe kākuleñ us ne dikhā diyā ki yuuñ
fikr ye thī ki bā'd-e-marg kaise ho 'āshiqoñ pe zulm
aa ke charāġh-e-qabr ko us ne bujhā diyā ki yuuñ
dekh ke ḳhatt-e-shauq meñ sozish-e-dil kī dāstāñ
naame ko mere ai 'āfāq' us ne jalā diyā ki yuuñ
zist mein manzar-e-fana us ne dikha diya ki yun
likh ke hamare nam ko KHud hi miTa diya ki yun
main ne kaha ki tur par ghash hue kis tarah kalim
sun ke harim-e-naz ka parda uTha diya ki yun
shor macha hai kis liye fitne hue hain kyon bapa
un ke KHiram-e-naz ne mujh ko bata diya ki yun
main ne kaha ki abr mein aata hai chand kis tarah
chhoD ke munh pe kakulen us ne dikha diya ki yun
fikr ye thi ki ba'd-e-marg kaise ho 'ashiqon pe zulm
aa ke charagh-e-qabr ko us ne bujha diya ki yun
dekh ke KHatt-e-shauq mein sozish-e-dil ki dastan
name ko mere ai 'afaq' us ne jala diya ki yun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.