zikr-e-gham par malal kyon aaya
zikr-e-ġham par malāl kyoñ aaya
shīsha-e-dil meñ baal kyoñ aaya
mutma.in huuñ maiñ hālat-e-dil par
tumheñ merā ḳhayāl kyoñ aaya
gir ke nafrat kī khaa.ī meñ ḳhud hī
pūchhte ho zavāl kyoñ aaya
raat āñdhī thī us kī āñkhoñ meñ
sub.h kā ehtimāl kyoñ aaya
zaḳhm-e-dil hī mirā asāsa hai
tū mujhe yuuñ sañbhāl kyoñ aaya
maiñ to zinda rahā usūloñ par
ehtimāl-e-ma.āl kyoñ aaya
aap jab be-qusūr the 'nāshād'
dostī kā savāl kyoñ aaya
zikr-e-gham par malal kyon aaya
shisha-e-dil mein baal kyon aaya
mutmain hun main haalat-e-dil par
tumhein mera KHayal kyon aaya
gir ke nafrat ki khai mein KHud hi
puchhte ho zawal kyon aaya
raat aandhi thi us ki aankhon mein
subh ka ehtimal kyon aaya
zaKHm-e-dil hi mera asasa hai
tu mujhe yun sanbhaal kyon aaya
main to zinda raha usulon par
ehtimal-e-maal kyon aaya
aap jab be-qusur the 'nashad'
dosti ka sawal kyon aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.