zikr-e-jamal-e-subh na kuchh fikr-e-sham hai
zikr-e-jamāl-e-sub.h na kuchh fikr-e-shām hai
afsāna-e-hayāt abhī nā-tamām hai
badmast hai koī to koī tishna-kām hai
kahne ko mai-kade meñ tire faiz aam hai
manzil hai koī ḳhaas na koī maqām hai
be-rāh zindagī hai magar tez-gām hai
dekho to be-niyāz hai duniyā se dard-e-ishq
samjho to ye bhī ik ġham-e-daurāñ kā naam hai
zāhid fareb-ḳhurda-e-jannat sahī magar
ham kāfirān-e-ishq pe dozaḳh harām hai
rang-e-bahār hai na nashāt-e-nazāra hai
ai bāġhbāñ salām agar ye nizām hai
'azmat' ye ahl-e-fikr-o-nazar kā hai faisla
vo dard-e-zindagī hai jo apnā kalām hai
zikr-e-jamal-e-subh na kuchh fikr-e-sham hai
afsana-e-hayat abhi na-tamam hai
badmast hai koi to koi tishna-kaam hai
kahne ko mai-kade mein tere faiz aam hai
manzil hai koi KHas na koi maqam hai
be-rah zindagi hai magar tez-gam hai
dekho to be-niyaz hai duniya se dard-e-ishq
samjho to ye bhi ek gham-e-dauran ka nam hai
zahid fareb-KHurda-e-jannat sahi magar
hum kafiran-e-ishq pe dozaKH haram hai
rang-e-bahaar hai na nashat-e-nazara hai
ai baghban salam agar ye nizam hai
'azmat' ye ahl-e-fikr-o-nazar ka hai faisla
wo dard-e-zindagi hai jo apna kalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.