Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zikr hota hai us pari-wash ka jab bhi mahfil mein baat hoti hai

Usman Shaheen

zikr hota hai us pari-wash ka jab bhi mahfil mein baat hoti hai

Usman Shaheen

MORE BYUsman Shaheen

    zikr hotā hai us parī-vash jab bhī mahfil meñ baat hotī hai

    us yādoñ anjuman meñ din guzartā hai raat hotī hai

    sadqe utrī hai ziist is dil ke ruuh hai mafāriqat tan se

    iltihāb-e-vajūd ḳhatm huā ġham se dil ko najāt hotī hai

    laakh pahre bhī hoñ to mahfil meñ baat karne se kaise rokeñge

    kaun jaane zabān-e-ahl-e-vafā āñkhoñ āñkhoñ meñ baat hotī hai

    lamhe guzre jo un bāhoñ meñ raqs-kun ab bhī haiñ nigāhoñ meñ

    un zulfoñ chhāñv ke nīche kitnī dilkash hayāt hotī hai

    us tārīf kyā kareñ 'shāhīn' saath jis ke ḳhudā.ī hai saarī

    zulf sañvrī to din nikaltā hai zulf bikhrī to raat hotī hai

    zikr hota hai us pari-wash ka jab bhi mahfil mein baat hoti hai

    us ki yaadon ki anjuman hi mein din guzarta hai raat hoti hai

    sadqe utri hai zist is dil ke ruh ki hai mafariqat tan se

    iltihab-e-wajud KHatm hua gham se dil ko najat hoti hai

    lakh pahre bhi hon to mahfil mein baat karne se kaise rokenge

    kaun jaane zaban-e-ahl-e-wafa aankhon aankhon mein baat hoti hai

    lamhe guzre jo un ki bahon mein raqs-kun ab bhi hain nigahon mein

    un ki zulfon ki chhanw ke niche kitni dilkash hayat hoti hai

    us ki tarif kya karen 'shahin' sath jis ke KHudai hai sari

    zulf sanwri to din nikalta hai zulf bikhri to raat hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now