zikr kis ka hai sar-e-dar tumhein kya malum
zikr kis ka hai sar-e-dar tumhein kya malum
Anjum Fauqi Badayuni
MORE BYAnjum Fauqi Badayuni
zikr kis kā hai sar-e-dār tumheñ kyā ma.alūm
kyoñ pashemāñ haiñ gunahgār tumheñ kyā ma.alūm
dosto ishq kā āzār tumheñ kyā ma.alūm
ḳhud masīhā bhī hai bīmār tumheñ kyā ma.alūm
tum abhī fikr kī rāhoñ se kahāñ guzre ho
log ġhāfil haiñ ki hushiyār tumheñ kyā ma.alūm
ahl-e-ġhairat ke liye aag bhī ho saktā hai
asar-e-sāya-e-dīvār tumheñ kyā ma.alūm
banda-e-ishq jise kahtī hai duniyā 'anjum'
vo ḳhud apnā hai parastār tumheñ kyā ma.alūm
zikr kis ka hai sar-e-dar tumhein kya malum
kyon pasheman hain gunahgar tumhein kya malum
dosto ishq ka aazar tumhein kya malum
KHud masiha bhi hai bimar tumhein kya malum
tum abhi fikr ki rahon se kahan guzre ho
log ghafil hain ki hushiyar tumhein kya malum
ahl-e-ghairat ke liye aag bhi ho sakta hai
asar-e-saya-e-diwar tumhein kya malum
banda-e-ishq jise kahti hai duniya 'anjum'
wo KHud apna hai parastar tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.