zikr kyon karte ho us ka wo mera kuchh bhi nahin
zikr kyon karte ho us ka wo mera kuchh bhi nahin
Sahil Farooqui Amrohvi
MORE BYSahil Farooqui Amrohvi
zikr kyoñ karte ho us kā vo mirā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne sab kuchh de diyā us ko bachā kuchh bhī nahīñ
us kī zulfoñ kī siyāhī se huā din bhī siyāh
us kī zulfoñ ke to aage ye ghaTā kuchh bhī nahīñ
us ko jo kahnā thā mere rū-barū kahtā rahā
bas maiñ suntā hī rahā maiñ ne kahā kuchh bhī nahīñ
us ke pairoñ kī nazākat par haiñ jān-o-dil nisār
us kī āñkhoñ ke ishāre se bachā kuchh bhī nahīñ
ġhamza-o-nāz-o-adā par ho gayā us ke nisār
us kā maazī thā magar kaisā pata kuchh bhī nahīñ
us se maiñ shikva nahīñ kartā kisī bhī baat par
ek patthar hai asar us par huā kuchh bhī nahīñ
us ko jaanā thā jahāñ uTh kar yahāñ se chal diyā
vo akelā hī gayā us ko milā kuchh bhī nahīñ
vo mohabbat kyā hai hai is se abhī nā-āshnā
aisī bīmārī hai ye jis kī davā kuchh bhī nahīñ
jis ko dekho vo samajhtā hai mujhe hī bevafā
be-vafāoñ ko magar miltī sazā kuchh bhī nahīñ
dil kī dhaḌkan tez ho jaatī hai tum ko dekh kar
maiñ ne to tum se kabhī aisā sunā kuchh bhī nahīñ
is bharī duniyā meñ 'sāhil' ne abhī dekhā hai kyā
bevafā hai kaun use is kā pata kuchh bhī nahīñ
zikr kyon karte ho us ka wo mera kuchh bhi nahin
main ne sab kuchh de diya us ko bacha kuchh bhi nahin
us ki zulfon ki siyahi se hua din bhi siyah
us ki zulfon ke to aage ye ghaTa kuchh bhi nahin
us ko jo kahna tha mere ru-baru kahta raha
bas main sunta hi raha main ne kaha kuchh bhi nahin
us ke pairon ki nazakat par hain jaan-o-dil nisar
us ki aankhon ke ishaare se bacha kuchh bhi nahin
ghamza-o-naz-o-ada par ho gaya us ke nisar
us ka mazi tha magar kaisa pata kuchh bhi nahin
us se main shikwa nahin karta kisi bhi baat par
ek patthar hai asar us par hua kuchh bhi nahin
us ko jaana tha jahan uTh kar yahan se chal diya
wo akela hi gaya us ko mila kuchh bhi nahin
wo mohabbat kya hai hai is se abhi na-ashna
aisi bimari hai ye jis ki dawa kuchh bhi nahin
jis ko dekho wo samajhta hai mujhe hi bewafa
be-wafaon ko magar milti saza kuchh bhi nahin
dil ki dhaDkan tez ho jati hai tum ko dekh kar
main ne to tum se kabhi aisa suna kuchh bhi nahin
is bhari duniya mein 'sahil' ne abhi dekha hai kya
bewafa hai kaun use is ka pata kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.