zikr kyun-kar na karun aap ke ruKHsaron ka
zikr kyūñ-kar na karūñ aap ke ruḳhsāroñ kā
huuñ maiñ hāfiz isī qur.ān ke do pāroñ kā
le chalī rahmat-e-haq naaz se jab jānib-e-ḳhuld
dekhā muñh yaas se dozaḳh ne gunahgāroñ kā
ye rah-e-'ishq hai yaañ naaz na kar ai zāhid
kāfiroñ kā vahī rutba hai jo dīñ-dāroñ kā
jald se jald pilā jaam pe jaam ai saaqī
muñh tak aayā hai kaleja tire mai-ḳhvāroñ kā
jiite jī laakh bache laakh subuk-dosh rahe
mar ke ehsān uThānā hī paḌā yāroñ kā
jhuk ke bhar detā hai har ek kā ḳhālī sāġhar
shīsha kartā hai adab daur meñ mai-ḳhvāroñ kā
lutf 'ushshāq ko kūche meñ tire ḳhuld kā hai
sāya-e-tūbā hai saaya tirī dīvāroñ kā
apne muñh dekh liyā karte haiñ bismil qātil
aa.ina ban gayā jauhar tirī dīvāroñ kā
mai-parastī na ga.ī 'rāfat'-e-mehrāb-nashīñ
haa.e is shakl pe ye kaam siyah-kāroñ kā
zikr kyun-kar na karun aap ke ruKHsaron ka
hun main hafiz isi quran ke do paron ka
le chali rahmat-e-haq naz se jab jaanib-e-KHuld
dekha munh yas se dozaKH ne gunahgaron ka
ye rah-e-'ishq hai yan naz na kar ai zahid
kafiron ka wahi rutba hai jo din-daron ka
jald se jald pila jam pe jam ai saqi
munh tak aaya hai kaleja tere mai-KHwaron ka
jite ji lakh bache lakh subuk-dosh rahe
mar ke ehsan uThana hi paDa yaron ka
jhuk ke bhar deta hai har ek ka KHali saghar
shisha karta hai adab daur mein mai-KHwaron ka
lutf 'ushshaq ko kuche mein tere KHuld ka hai
saya-e-tuba hai saya teri diwaron ka
apne munh dekh liya karte hain bismil qatil
aaina ban gaya jauhar teri diwaron ka
mai-parasti na gai 'rafat'-e-mehrab-nashin
hae is shakl pe ye kaam siyah-karon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.