zikr mera agar aa jata hai
zikr merā agar aa jaatā hai
sun ke vo saaf uḌā jaatā hai
ġham tirā hissa hai merā lekin
dil churā kar use khā jaatā hai
kyā nazākat hai ki aap aa.ine meñ
aks ke saath khiñchā jaatā hai
naaz se khīñch na mujh par talvār
ġhair mushtāq huā jaatā hai
hasrateñ dil kī miTī jaatī haiñ
qāfila hai ki luTā jaatā hai
raah meñ gir na paḌe ḳhat yā-rab
nāma-bar misl-e-havā jaatā hai
'dāġh' ko dekh ke bole ye shaḳhs
aap hī aap jalā jaatā hai
zikr mera agar aa jata hai
sun ke wo saf uDa jata hai
gham tera hissa hai mera lekin
dil chura kar use kha jata hai
kya nazakat hai ki aap aaine mein
aks ke sath khincha jata hai
naz se khinch na mujh par talwar
ghair mushtaq hua jata hai
hasraten dil ki miTi jati hain
qafila hai ki luTa jata hai
rah mein gir na paDe KHat ya-rab
nama-bar misl-e-hawa jata hai
'dagh' ko dekh ke bole ye shaKHs
aap hi aap jala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.