zikr mera lab-e-hasin pe tha
zikr merā lab-e-hasīn pe thā
maiñ Darāme ke pahle scene pe thā
saarā qissa alif se ye tak kal
chehra chehra mirī jabīn pe thā
raat tāroñ kī anjuman meñ kaTī
aañkh khulte hī maiñ zamīn pe thā
merī uñglī meñ chīḳh uThī cigarette
kaaf kā bojh garche shiin pe thā
din kī tārīkiyāñ sameTe hue
raat sūraj na.ī machine pe thā
tum bhī andhe kuñ.eñ meñ tanhā the
maiñ bhī tanhā fasīl-e-chīn pe thā
maiñ ne sochā ki duuñ sadā dar par
ghar musallat magar makīn pe thā
vo to but-ḳhāna mil gayā 'anvar'
varna maiñ kal bhī rāh-e-dīn pe thā
zikr mera lab-e-hasin pe tha
main Darame ke pahle scene pe tha
sara qissa alif se ye tak kal
chehra chehra meri jabin pe tha
raat taron ki anjuman mein kaTi
aankh khulte hi main zamin pe tha
meri ungli mein chiKH uThi cigarette
kaf ka bojh garche shin pe tha
din ki tarikiyan sameTe hue
raat suraj nai machine pe tha
tum bhi andhe kunen mein tanha the
main bhi tanha fasil-e-chin pe tha
main ne socha ki dun sada dar par
ghar musallat magar makin pe tha
wo to but-KHana mil gaya 'anwar'
warna main kal bhi rah-e-din pe tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.