zikr munh par bahaar jaisa hai
zikr muñh par bahār jaisā hai
piiTh pīchhe kaTār jaisā hai
sach kā dāman babūl kī sūrat
jhuuT kā fan chinār jaisā hai
ḳhud ko kab tak sañbhāl kar rakkheñ
apnā ham bhī shikār jaisā hai
phuul kāñToñ meñ bhī nikal aa.e
zehn lekin sharār jaisā hai
jis ko dekho vo pūjtā hai ise
vaqt bhī kyā mazār jaisā hai
daf.atan mujh pe aap kā ye karam
shīsha-e-dil pe baar jaisā hai
dard-o-ġham kyoñ na hoñ sharīk-e-hayāt
dil kā rishta bhī haar jaisā hai
roz dete ho phuul kā tohfa
ye bhī 'aḳhtar' udhār jaisā hai
zikr munh par bahaar jaisa hai
piTh pichhe kaTar jaisa hai
sach ka daman babul ki surat
jhuT ka fan chinar jaisa hai
KHud ko kab tak sanbhaal kar rakkhen
apna hum bhi shikar jaisa hai
phul kanTon mein bhi nikal aae
zehn lekin sharar jaisa hai
jis ko dekho wo pujta hai ise
waqt bhi kya mazar jaisa hai
dafatan mujh pe aap ka ye karam
shisha-e-dil pe bar jaisa hai
dard-o-gham kyon na hon sharik-e-hayat
dil ka rishta bhi haar jaisa hai
roz dete ho phul ka tohfa
ye bhi 'aKHtar' udhaar jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.