zikr tera agar nahin aata
zikr terā agar nahīñ aatā
chain shām-o-sahar nahīñ aatā
tū hai maujūd har jagah lekin
kyoñ kisī ko nazar nahīñ aatā
jaan le vaqt kī haqīqat ko
vaqt phir lauT kar nahīñ aatā
ab bhī haiñ us kī muntazir nazreñ
kyoñ vo jān-e-jigar nahīñ aatā
terī sūrat basī hai āñkhoñ meñ
koī duujā nazar nahīñ aatā
ham ne aise shajar bhī dekhe haiñ
jin pe koī samar nahīñ aatā
apnā apnā likhā muqaddar hai
haath meñ sab ke zar nahīñ aatā
kar ke ham bhī zarā ye dekheñge
raas kaise safar nahīñ aatā
jaane kis haal meñ vo hai ab ke
koī le kar ḳhabar nahīñ aatā
shā.erī bhī hai ik hunar 'rāmish'
sab ko ab ye hunar nahīñ aatā
zikr tera agar nahin aata
chain sham-o-sahar nahin aata
tu hai maujud har jagah lekin
kyon kisi ko nazar nahin aata
jaan le waqt ki haqiqat ko
waqt phir lauT kar nahin aata
ab bhi hain us ki muntazir nazren
kyon wo jaan-e-jigar nahin aata
teri surat basi hai aankhon mein
koi duja nazar nahin aata
hum ne aise shajar bhi dekhe hain
jin pe koi samar nahin aata
apna apna likha muqaddar hai
hath mein sab ke zar nahin aata
kar ke hum bhi zara ye dekhenge
ras kaise safar nahin aata
jaane kis haal mein wo hai ab ke
koi le kar KHabar nahin aata
shaeri bhi hai ek hunar 'ramish'
sab ko ab ye hunar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.