Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zikr un ka jo hua aankhon se barsat hui

Naushad Munis Aazmi

zikr un ka jo hua aankhon se barsat hui

Naushad Munis Aazmi

MORE BYNaushad Munis Aazmi

    zikr un jo huā āñkhoñ se barsāt huī

    haañ mire saath ajab sāzish-e-hālāt huī

    mirī ḳhāmoshī ko aur koī naam na de

    maiñ tujhe bhuul gayā ye bhī koī baat huī

    saath mere the magar thī kahīñ duzdīda nazar

    raat mahfil meñ mire saath baḌī ghaat huī

    ek jin ke diyā thā vo fasādoñ meñ bujhā

    un se kyā pūchhte ho din huā raat huī

    maiñ ne samjhā thā jise dost-o-muāvin apnā

    usī be-dard ke hāthoñ se mujhe maat huī

    apne ḳhāshāk-e-nasheman ke liye kaañp uThā

    jab bhī tūfāñ bahāroñ meñ kahīñ baat huī

    baad muddat ke munavvar huiiñ āñkheñ 'mūnis'

    us parī-vash se achānak jo mulāqāt hoī

    zikr un ka jo hua aankhon se barsat hui

    han mere sath ajab sazish-e-haalat hui

    meri KHamoshi ko tu aur koi nam na de

    main tujhe bhul gaya ye bhi koi baat hui

    sath mere the magar thi kahin duzdida nazar

    raat mahfil mein mere sath baDi ghat hui

    ek hi jin ke diya tha wo fasadon mein bujha

    un se kya puchhte ho din hua ya raat hui

    main ne samjha tha jise dost-o-muawin apna

    usi be-dard ke hathon se mujhe mat hui

    apne KHashak-e-nasheman ke liye kanp uTha

    jab bhi tufan ki bahaaron mein kahin baat hui

    baad muddat ke munawwar huin aankhen 'munis'

    us pari-wash se achanak jo mulaqat hoi

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now