zikr un ka zaban par aaya
zikr un kā zabān par aaya
goyā mālik makān par aaya
ḳhāndānī vo ho nahīñ saktā
jo mire ḳhāndān par aaya
khol kar ke shikasta par apne
phir parinda uḌaan par aaya
jis ghaḌī aa.e vo mire ghar meñ
dil mirā āsmān par aaya
us ne rakkhā jo pair paanī meñ
jhūmā dariyā ufaan par aaya
dhuul 'raushan' pe sab ne pheñkī thī
daaġh na us kī shaan par aaya
zikr un ka zaban par aaya
goya malik makan par aaya
KHandani wo ho nahin sakta
jo mere KHandan par aaya
khol kar ke shikasta par apne
phir parinda uDan par aaya
jis ghaDi aae wo mere ghar mein
dil mera aasman par aaya
us ne rakkha jo pair pani mein
jhuma dariya ufan par aaya
dhul 'raushan' pe sab ne phenki thi
dagh na us ki shan par aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.