zikr us raat se hai wabasta
zikr us raat se hai vābasta
jo tirī zaat se hai vābasta
jiit merī faqat mirī to nahīñ
ye tirī maat se hai vābasta
aañkh se le ke dil talak kā safar
inkishāfāt se hai vābasta
koī to hai jo terī āñkhoñ ke
in ishārāt se hai vābasta
mere ash.ār meñ tirā paikar
isti.ārāt se hai vābasta
fikr ab tak tirī kahānī ke
iqtibāsāt se hai vābasta
thiiñ mirī aañkh meñ kabhī kirneñ
ab jo barsāt se hai vābasta
hijr ke moḌ par jamī hai nazar
aur lamhāt se hai vābasta
kis kī aamad hai aaj jo 'zaryāb'
intizāmāt se hai vābasta
zikr us raat se hai wabasta
jo teri zat se hai wabasta
jit meri faqat meri to nahin
ye teri mat se hai wabasta
aankh se le ke dil talak ka safar
inkishafat se hai wabasta
koi to hai jo teri aankhon ke
in ishaaraat se hai wabasta
mere ashaar mein tera paikar
istiaraat se hai wabasta
fikr ab tak teri kahani ke
iqtibasat se hai wabasta
thin meri aankh mein kabhi kirnen
ab jo barsat se hai wabasta
hijr ke moD par jami hai nazar
aur lamhat se hai wabasta
kis ki aamad hai aaj jo 'zaryab'
intizamat se hai wabasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.