zilam-e-fikr se ahl-e-nazar nikal aae
zilām-e-fikr se ahl-e-nazar nikal aa.e
sadaf se jis tarah koī guhar nikal aa.e
mizāj-e-shahr meñ kis ne ye zahr gholā hai
ki baat baat pe teġh-o-tabar nikal aa.e
koī raqīb to koī ‘azīz-e-jāñ Thahrā
dayār-e-'ishq meñ 'aib-o-hunar nikal aa.e
bhaTak rahe haiñ bahut ham sarāb-e-hastī meñ
du'ā karo ki koī rah-guzar nikal aa.e
chahār samt añdhere haiñ dil fasurda hai
kahīñ to abr-e-siyah se qamar nikal aa.e
ġhulām hāñpte phirte haiñ mustaqar hī nahīñ
nizām-e-zar meñ safar-dar-safar nikal aa.e
lahū se maqtal-e-ulfat meñ rang bhar deñge
hamāre naam kā qur’ā agar nikal aa.e
ye kyā ki jab bhī samundar meñ naav Daalī hai
to mauj mauj meñ har-sū bhañvar nikal aa.e
dayār-e-'aql meñ baunoñ kī bhiiḌ hai har-sū
ḳhudā kare ki koī mo'tabar nikal aa.e
tire shu'ūr se aise chamak uThe duniyā
vajūd-e-sang se jaise sharar nikal aa.e
hisār-e-zulm se nikleñge is tarah 'rāhī'
shab-e-siyāh se jaise sahar nikal aa.e
zilam-e-fikr se ahl-e-nazar nikal aae
sadaf se jis tarah koi guhar nikal aae
mizaj-e-shahr mein kis ne ye zahr ghola hai
ki baat baat pe tegh-o-tabar nikal aae
koi raqib to koi ‘aziz-e-jaan Thahra
dayar-e-'ishq mein 'aib-o-hunar nikal aae
bhaTak rahe hain bahut hum sarab-e-hasti mein
du'a karo ki koi rah-guzar nikal aae
chahaar samt andhere hain dil fasurda hai
kahin to abr-e-siyah se qamar nikal aae
ghulam hanpte phirte hain mustaqar hi nahin
nizam-e-zar mein safar-dar-safar nikal aae
lahu se maqtal-e-ulfat mein rang bhar denge
hamare nam ka qur’a agar nikal aae
ye kya ki jab bhi samundar mein naw Dali hai
to mauj mauj mein har-su bhanwar nikal aae
dayar-e-'aql mein baunon ki bhiD hai har-su
KHuda kare ki koi mo'tabar nikal aae
tere shu'ur se aise chamak uThe duniya
wajud-e-sang se jaise sharar nikal aae
hisar-e-zulm se niklenge is tarah 'rahi'
shab-e-siyah se jaise sahar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.