zillaten sahte rahe nilam ghairat ki gai
zillateñ sahte rahe nīlām ġhairat kī ga.ī
tab kahīñ jā kar miyāñ hāsil ye shohrat kī ga.ī
jaane kaisā shahr hai jal uThte haiñ jab bhī charāġh
bhej kar āñdhī añdheroñ kī hifāzat kī ga.ī
kuchh pata chal hī na paayā vaar kab kaise huā
dostī kī aaḌ meñ ham se 'adāvat kī ga.ī
ho chukā thā chand hī lamhoñ meñ vo qissa tamām
aur is qisse kī sadiyoñ tak vazāhat kī ga.ī
ai mire dil un kā andāz-e-mohabbat dekh kar
lag rahā hai mujh ko yuuñ goyā sharārat kī ga.ī
maiñ bhalā bach paatā kaise zulm ke pathrāv se
kāñch kī dīvār se merī hifāzat kī ga.ī
nekiyāñ karne kā 'ātif' kyā 'ajab andāz hai
saikḌoñ ko luuT kar kuchh par saḳhāvat kī ga.ī
zillaten sahte rahe nilam ghairat ki gai
tab kahin ja kar miyan hasil ye shohrat ki gai
jaane kaisa shahr hai jal uThte hain jab bhi charagh
bhej kar aandhi andheron ki hifazat ki gai
kuchh pata chal hi na paya war kab kaise hua
dosti ki aaD mein hum se 'adawat ki gai
ho chuka tha chand hi lamhon mein wo qissa tamam
aur is qisse ki sadiyon tak wazahat ki gai
ai mere dil un ka andaz-e-mohabbat dekh kar
lag raha hai mujh ko yun goya shararat ki gai
main bhala bach pata kaise zulm ke pathraw se
kanch ki diwar se meri hifazat ki gai
nekiyan karne ka 'atif' kya 'ajab andaz hai
saikDon ko luT kar kuchh par saKHawat ki gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.