zinda ho kar bhi kai roz se zinda nahin hun
zinda ho kar bhī ka.ī roz se zinda nahīñ huuñ
aur is par maiñ ka.ī roz se royā nahīñ huuñ
ek hī shaḳhs gavārā hai zamīñ par mujh ko
vo bhī āvāz lagā.e to palaTtā nahīñ huuñ
kuchh parinde to chahakte haiñ mujhe vaqt-e-sahar
kuchh parindoñ ko ḳhabar hai ki maiñ soyā nahīñ huuñ
naaz kartā hai vo ḳhush-chashm mire hone par
mujh pe kyā naaz ki ai dost maiñ ḳhud kā nahīñ huuñ
vo tavajjoh jo mayassar hī nahīñ hai mujh ko
ho mayassar to sar-e-bazm bikhartā nahīñ huuñ
zinda ho kar bhi kai roz se zinda nahin hun
aur is par main kai roz se roya nahin hun
ek hi shaKHs gawara hai zamin par mujh ko
wo bhi aawaz lagae to palaTta nahin hun
kuchh parinde to chahakte hain mujhe waqt-e-sahar
kuchh parindon ko KHabar hai ki main soya nahin hun
naz karta hai wo KHush-chashm mere hone par
mujh pe kya naz ki ai dost main KHud ka nahin hun
wo tawajjoh jo mayassar hi nahin hai mujh ko
ho mayassar to sar-e-bazm bikharta nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.