zinda hone ka bharam bhi to bahut lazim hai
zinda hone ka bharam bhi to bahut lazim hai
Zakir Husain Halsangi
MORE BYZakir Husain Halsangi
zinda hone kā bharam bhī to bahut lāzim hai
roz mar-mar ke hī jiinā hai jagā kar ḳhud ko
ghar kā sūraj to jalā kartā hai ghar kī ḳhātir
raushnī detā hai jo aag lagā kar ḳhud ko
aas milne kī liye jī meñ chalī jaatī huuñ
mauj-e-dariyā huuñ milūñgī maiñ bahā kar ḳhud ko
dā.imī ziist milegī jo agar chāhat hai
us ko paane kī taḌap meñ to fanā kar ḳhud ko
ramz-e-tanhā.ī hai is meñ kabhī yuuñ kar 'zākir'
sun le apnī bhī to kuchh apnī kahā kar ḳhud ko
zinda hone ka bharam bhi to bahut lazim hai
roz mar-mar ke hi jina hai jaga kar KHud ko
ghar ka suraj to jala karta hai ghar ki KHatir
raushni deta hai jo aag laga kar KHud ko
aas milne ki liye ji mein chali jati hun
mauj-e-dariya hun milungi main baha kar KHud ko
daimi zist milegi jo agar chahat hai
us ko pane ki taDap mein to fana kar KHud ko
ramz-e-tanhai hai is mein kabhi yun kar 'zakir'
sun le apni bhi to kuchh apni kaha kar KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.