zinda hun abhi main mujhe be-dam na samajhna
zinda huuñ abhī maiñ mujhe be-dam na samajhnā
hālāt se is darja bhī barham na samajhnā
lā.egā junūñ rang mirā dekhnā ik din
sho.ala hī samajhnā mujhe shabnam na samajhnā
duniyā ye tire ḳhvāb sī raushan bhī nahīñ hai
āsān tū duniyā ko ai hamdam na samajhnā
'mahshar' haiñ ‘dilāvar’ haiñ haiñ ‘irfān’-o-‘as.ad’ bhī
maiñ bhī huuñ badāyūñ se mujhe kam na samajhnā
kyā dekhte ho 'qalb' mire ashk-e-alam ko
aañsū hai mirī aañkh kā zamzam na samajhnā
zinda hun abhi main mujhe be-dam na samajhna
haalat se is darja bhi barham na samajhna
laega junun rang mera dekhna ek din
shoala hi samajhna mujhe shabnam na samajhna
duniya ye tere KHwab si raushan bhi nahin hai
aasan tu duniya ko ai hamdam na samajhna
'mahshar' hain ‘dilawar’ hain hain ‘irfan’-o-‘asad’ bhi
main bhi hun badayun se mujhe kam na samajhna
kya dekhte ho 'qalb' mere ashk-e-alam ko
aansu hai meri aankh ka zamzam na samajhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.