zinda hun aur hijr ka aazar tak nahin
zinda huuñ aur hijr kā āzār tak nahīñ
vo kaam kar rahā huuñ jo dushvār tak nahīñ
ab maiñ huuñ aur tujh ko manāne kī justujū
kuchh bhī nahīñ hai raah meñ pindār tak nahīñ
ya.anī mirā vajūd hī mashkūk ho gayā
ab to maiñ apne-āp se bezār tak nahīñ
dil bhī thakan se chuur huā aur dimāġh bhī
aur āsmāñ pe sub.h ke āsār tak nahīñ
iqrār kar ke us ko nibhānā kise nasīb
is umr meñ to mohlat-e-inkār tak nahīñ
thī jis kī por por mirī lams-āshnā
ab yaad us ke gesū-o-ruḳhsār tak nahīñ
is be-karāñ ḳhalā meñ nigāhoñ ko kyā karūñ
ab to nazar ke sāmne dīvār tak nahīñ
zinda hun aur hijr ka aazar tak nahin
wo kaam kar raha hun jo dushwar tak nahin
ab main hun aur tujh ko manane ki justuju
kuchh bhi nahin hai rah mein pindar tak nahin
yani mera wajud hi mashkuk ho gaya
ab to main apne-ap se bezar tak nahin
dil bhi thakan se chur hua aur dimagh bhi
aur aasman pe subh ke aasar tak nahin
iqrar kar ke us ko nibhana kise nasib
is umr mein to mohlat-e-inkar tak nahin
thi jis ki por por meri lams-ashna
ab yaad us ke gesu-o-ruKHsar tak nahin
is be-karan KHala mein nigahon ko kya karun
ab to nazar ke samne diwar tak nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.