zinda rahne kī aarzū bhī mujhe
lahmyātī badan kī ḳhū bhī mujhe
kabhī mere liye haiñ sab mere
aur pukāre kabhī lahū bhī mujhe
ārzūoñ ke sāmne apnī
hech lagtī hai aabrū bhī mujhe
bebasī se lipaT ke ro luuñ huuñ
rahmat-e-jāñ hai apnī hū bhī mujhe
mujhe maflūj karne lagtā hai
aaj merā lahū hai lū bhī mujhe
vasl us kā mujhe 'ibādat hai
us kā ḳhākī badan vuzū bhī mujhe
vo nahīñ hai ye jāntā huuñ maiñ
'soz' us kī hai justujū bhī mujhe
zinda rahne ki aarzu bhi mujhe
lahmyati badan ki KHu bhi mujhe
kabhi mere liye hain sab mere
aur pukare kabhi lahu bhi mujhe
aarzuon ke samne apni
hech lagti hai aabru bhi mujhe
bebasi se lipaT ke ro lun hun
rahmat-e-jaan hai apni hu bhi mujhe
mujhe mafluj karne lagta hai
aaj mera lahu hai lu bhi mujhe
wasl us ka mujhe 'ibaadat hai
us ka KHaki badan wuzu bhi mujhe
wo nahin hai ye jaanta hun main
'soz' us ki hai justuju bhi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.