zinda rahne ki talab is liye pyari na rahi
zinda rahne kī talab is liye pyārī na rahī
koī vaq'at dil-e-qātil meñ hamārī na rahī
mai-kashī chhoḌ dī is vāste ham ne saaqī
pahle jaisī tirī āñkhoñ meñ ḳhumārī na rahī
niiñd kā zahr nigāhoñ meñ samāyā jab se
ratjagoñ se mirī bā-zābta yaarī na rahī
āḳhirash aa hī gayā kushta-e-hasrat ko qarār
'umr-bhar lazzat-e-āvārgī taarī na rahī
sīkhtā kis tarah ā.īn-e-junūñ ke ādāb
mujh pe maa.il ba-karam diid tumhārī na rahī
shiddat-e-zabt se pathrā ga.iiñ āñkheñ bhī 'nadīm'
ġham rahā saath meñ par girya-o-zārī na rahī
zinda rahne ki talab is liye pyari na rahi
koi waq'at dil-e-qatil mein hamari na rahi
mai-kashi chhoD di is waste hum ne saqi
pahle jaisi teri aankhon mein KHumari na rahi
nind ka zahr nigahon mein samaya jab se
ratjagon se meri ba-zabta yari na rahi
aaKHirash aa hi gaya kushta-e-hasrat ko qarar
'umr-bhar lazzat-e-awargi tari na rahi
sikhta kis tarah aain-e-junun ke aadab
mujh pe mail ba-karam did tumhaari na rahi
shiddat-e-zabt se pathra gain aankhen bhi 'nadim'
gham raha sath mein par girya-o-zari na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.