zinda rahne ko bhi lazim hai sahaara koi
zinda rahne ko bhī lāzim hai sahārā koī
kaash mil jaa.e ġham-e-hijr kā maarā koī
hai tirī zaat se mujh ko vahī nisbat jaise
chāñd ke saath chamaktā ho sitārā koī
ye mohabbat to kisī paar na lagne degī
ye vo dariyā hai nahīñ jis kā kinārā koī
kaise jānoge ki rātoñ kā taḌapnā kyā hai
tum se bichhḌā jo nahīñ jaan se pyārā koī
ham mohabbat meñ bhī qaa.il rahe yaktā.ī ke
ham ne rakkhā hī nahīñ dil meñ dubāra koī
sochtī huuñ tire pahlū meñ jo baiThā hogā
kaisā hogā vo parī-vash vo tumhārā koī
kaun bāñTegā mire saath mirī tanhā.ī
DhūñD ke lā do mujhe ziist se haarā koī
zinda rahne ko bhi lazim hai sahaara koi
kash mil jae gham-e-hijr ka mara koi
hai teri zat se mujh ko wahi nisbat jaise
chand ke sath chamakta ho sitara koi
ye mohabbat to kisi par na lagne degi
ye wo dariya hai nahin jis ka kinara koi
kaise jaanoge ki raaton ka taDapna kya hai
tum se bichhDa jo nahin jaan se pyara koi
hum mohabbat mein bhi qail rahe yaktai ke
hum ne rakkha hi nahin dil mein dubara koi
sochti hun tere pahlu mein jo baiTha hoga
kaisa hoga wo pari-wash wo tumhaara koi
kaun banTega mere sath meri tanhai
DhunD ke la do mujhe zist se haara koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.