zindan se nikal jaane ki tadbir nikale
zindāñ se nikal jaane kī tadbīr nikāle
har roz koī halqa-e-zanjīr nikāle
koī bhī jarī madd-e-muqābil nahīñ aaya
maiñ shahr meñ phirtā rahā shamshīr nikāle
aisā na ho guddī se zabāñ khīñch lī jaa.e
ab muñh se koī shaḳhs na taqrīr nikāle
jab bhī mujhe pardes ne luuTā to duā kī
ghar se na kisī shaḳhs ko taqdīr nikāle
gar qaid-e-musalsal kī kahānī nahīñ suntā
āñchal se zarā zulf-e-girah-gīr nikāle
ik umr kī koshish se bhī mumkin nahīñ nikle
jo rāh-e-suḳhan 'mīr-taqī-mīr' nikāle
zindan se nikal jaane ki tadbir nikale
har roz koi halqa-e-zanjir nikale
koi bhi jari madd-e-muqabil nahin aaya
main shahr mein phirta raha shamshir nikale
aisa na ho guddi se zaban khinch li jae
ab munh se koi shaKHs na taqrir nikale
jab bhi mujhe pardes ne luTa to dua ki
ghar se na kisi shaKHs ko taqdir nikale
gar qaid-e-musalsal ki kahani nahin sunta
aanchal se zara zulf-e-girah-gir nikale
ek umr ki koshish se bhi mumkin nahin nikle
jo rah-e-suKHan 'mir-taqi-mir' nikale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.