zindagani hai meri teri nazar hone tak
zindagānī hai mirī terī nazar hone tak
raushnī sham.a kī hai nūr-e-sahar hone tak
umr-e-do-roza par aur maal pe bejā hai ġhurūr
der lagtī hai kahāñ ḳhaak bashar hone tak
aa hī jaa.eñ na kahīñ bād-e-ḳhizāñ ke jhoñke
vaqt darkār hai phūloñ ko samar hone tak
saañs kī āmad-o-shud hai na davāmī hargiz
is kī raftār bhī hai dard-e-jigar hone tak
zarre zarre meñ badal jā.eñge ye shams-o-qamar
zarre zarre bhī to haiñ shams-o-qamar hone tak
dosh aur pusht kī zīnat hai jo zulf-e-pechāñ
hai pareshān bahut zeb-e-kamar hone tak
aag hai dil meñ lagī siina banā hai bhaTTī
raakh ho jā.ūñgā maiñ dīda-e-tar hone tak
shakl-e-insāñ meñ har insān kahāñ hai insāñ
ādamiyyat kā sharaf to hai bashar hone tak
nā-tavānoñ ko bhī kamzor na jaano hargiz
paanī paanī hai faqat barq-o-sharar hone tak
ek fa'āl harārat kī zarūrat bhī to hai
ḳhāk-e-namnāk ko ḳhisht aur hajar hone tak
maut kahte haiñ jise hai vo hayāt-e-abadī
maut hai lāzim-o-malzūm amar hone tak
jaan bhī jaan hai jab tak hai badan ke andar
jism hai jism-e-hasīñ nau-e-dīgar hone tak
haath ab khīñch hī lo āh-o-fuġhāñ se 'arshad'
kyā na mar jāoge tum in meñ asar hone tuk
zindagani hai meri teri nazar hone tak
raushni shama ki hai nur-e-sahar hone tak
umr-e-do-roza par aur mal pe beja hai ghurur
der lagti hai kahan KHak bashar hone tak
aa hi jaen na kahin baad-e-KHizan ke jhonke
waqt darkar hai phulon ko samar hone tak
sans ki aamad-o-shud hai na dawami hargiz
is ki raftar bhi hai dard-e-jigar hone tak
zarre zarre mein badal jaenge ye shams-o-qamar
zarre zarre bhi to hain shams-o-qamar hone tak
dosh aur pusht ki zinat hai jo zulf-e-pechan
hai pareshan bahut zeb-e-kamar hone tak
aag hai dil mein lagi sina bana hai bhaTTi
rakh ho jaunga main dida-e-tar hone tak
shakl-e-insan mein har insan kahan hai insan
aadamiyyat ka sharaf to hai bashar hone tak
na-tawanon ko bhi kamzor na jaano hargiz
pani pani hai faqat barq-o-sharar hone tak
ek fa'al hararat ki zarurat bhi to hai
KHak-e-namnak ko KHisht aur hajar hone tak
maut kahte hain jise hai wo hayat-e-abadi
maut hai lazim-o-malzum amar hone tak
jaan bhi jaan hai jab tak hai badan ke andar
jism hai jism-e-hasin nau-e-digar hone tak
hath ab khinch hi lo aah-o-fughan se 'arshad'
kya na mar jaoge tum in mein asar hone tuk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.