zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai
zindagānī kā ye pahlū kuchh zarīfāna bhī hai
ya.anī us kī har haqīqat ek afsāna bhī hai
tum jise jaisā banā dete ho ban jaatā hai vo
fitratan har aadmī aaqil bhī dīvāna bhī hai
rañj hī aksar huā kartā hai rāhat kā nishāñ
jis jagah tum daam dekhoge vahāñ daana bhī hai
vā-e-qismat ik hamīñ mahrūm is fan se rahe
apne matlab ke liye hushyār dīvāna bhī hai
vaq.at-e-mai-ḳhāna bhī apnī jagah kuchh kam nahīñ
qābil-e-tāzīm go kā'ba bhī but-ḳhāna bhī hai
dil kī fitrat ishq-o-ulfat hī maiñ ai 'sāhir' khulī
ye vo kāfir hai ki apnā ho ke begāna bhī hai
zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai
yani us ki har haqiqat ek afsana bhi hai
tum jise jaisa bana dete ho ban jata hai wo
fitratan har aadmi aaqil bhi diwana bhi hai
ranj hi aksar hua karta hai rahat ka nishan
jis jagah tum dam dekhoge wahan dana bhi hai
wa-e-qismat ek hamin mahrum is fan se rahe
apne matlab ke liye hushyar diwana bhi hai
waqat-e-mai-KHana bhi apni jagah kuchh kam nahin
qabil-e-tazim go ka'ba bhi but-KHana bhi hai
dil ki fitrat ishq-o-ulfat hi main ai 'sahir' khuli
ye wo kafir hai ki apna ho ke begana bhi hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 147)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.