zindagani ko sukun hasil kisi pahlu nahin
zindagānī ko sukūñ hāsil kisī pahlū nahīñ
dil ke bahlāne ko yuuñ to sab hai lekin tū nahīñ
ai tasallī dene vaale tujh ko us kī kyā ḳhabar
hasratoñ kā ḳhuun hai palkoñ pe ye aañsū nahīñ
sar jhukā.e gosha-e-tanhā.ī meñ baiThā huuñ maiñ
ab tasavvur meñ kisī ke lab nahīñ gesū nahīñ
le chalā hai khīñch kar ik bevafā kī bazm meñ
kyā karūñ ḳhud apne dil par bhī mirā qaabū nahīñ
sirf apnoñ meñ nahīñ ġhairoñ meñ bhī maqbūl huuñ
ye mohabbat kā karishma hai koī jaadū nahīñ
ab ye aalam hai ki shāḳhoñ par gulistāñ meñ 'azīz'
phuul to khilte hī rahte haiñ magar ḳhushbū nahīñ
zindagani ko sukun hasil kisi pahlu nahin
dil ke bahlane ko yun to sab hai lekin tu nahin
ai tasalli dene wale tujh ko us ki kya KHabar
hasraton ka KHun hai palkon pe ye aansu nahin
sar jhukae gosha-e-tanhai mein baiTha hun main
ab tasawwur mein kisi ke lab nahin gesu nahin
le chala hai khinch kar ek bewafa ki bazm mein
kya karun KHud apne dil par bhi mera qabu nahin
sirf apnon mein nahin ghairon mein bhi maqbul hun
ye mohabbat ka karishma hai koi jadu nahin
ab ye aalam hai ki shaKHon par gulistan mein 'aziz'
phul to khilte hi rahte hain magar KHushbu nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.