zindagani se lipaT kar KHud ko bahlata hun main
zindagānī se lipaT kar ḳhud ko bahlātā huuñ maiñ
ye kahānī roz apne aap dohrātā huuñ maiñ
sub.h-dam maiñ kholtā huuñ qufl jis zindān kā
din Dhale us qaid-ḳhāne meñ palaT aatā huuñ maiñ
pāTtā rahtā huuñ din bhar ik ḳhalīj-e-zāt ko
phir kisī anjān andeshe se pachhtātā huuñ maiñ
din chaḌhe auhām kī manDī meñ saudā bech kar
raat ko afkār ke bistar pe gir jaatā huuñ maiñ
oḌh letā huuñ maiñ chādar aql-o-istidlāl kī
dāstānoñ loriyoñ se ḳhud ko bahlātā huuñ maiñ
ḳhvāb meñ aksar kināre chashma-e-imkān ke
mastī-e-harf-o-suḳhan kī lai meñ chakrātā huuñ maiñ
chhoḌtā huuñ haath apnā shāhrāh-e-shauq par
manzil-e-maqsūd par phir ḳhud ko mil jaatā huuñ maiñ
jab bhī miltā huuñ ḳhud apne aap se tanhā.ī meñ
pūchhtā huuñ kyā gañvāyā aur kyā paatā huuñ maiñ
ḳhud hī kartā huuñ tirī yādeñ maiñ maazī ke sipurd
phir kahīñ se ek lamha DhūñD kar laatā huuñ maiñ
tujh meñ aksar DhūñDhtā huuñ maiñ tujhe 'āsim' magar
tū kahāñ hai kaun hai kab kis ko samjhātā huuñ maiñ
zindagani se lipaT kar KHud ko bahlata hun main
ye kahani roz apne aap dohraata hun main
subh-dam main kholta hun qufl jis zindan ka
din Dhale us qaid-KHane mein palaT aata hun main
paTta rahta hun din bhar ek KHalij-e-zat ko
phir kisi anjaan andeshe se pachhtata hun main
din chaDhe auham ki manDi mein sauda bech kar
raat ko afkar ke bistar pe gir jata hun main
oDh leta hun main chadar aql-o-istidlal ki
dastanon loriyon se KHud ko bahlata hun main
KHwab mein aksar kinare chashma-e-imkan ke
masti-e-harf-o-suKHan ki lai mein chakraata hun main
chhoDta hun hath apna shahrah-e-shauq par
manzil-e-maqsud par phir KHud ko mil jata hun main
jab bhi milta hun KHud apne aap se tanhai mein
puchhta hun kya ganwaya aur kya pata hun main
KHud hi karta hun teri yaaden main mazi ke sipurd
phir kahin se ek lamha DhunD kar lata hun main
tujh mein aksar DhunDhta hun main tujhe 'asim' magar
tu kahan hai kaun hai kab kis ko samjhata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.