zindagani se ruThne wale
zindagānī se rūThne vaale
lab pe qisse na lā bure vaale
kaT rahī hai musībatoñ meñ hayāt
ab kahāñ roz-o-shab maze vaale
bādshāhoñ se ham ko kyā matlab
haiñ faqīrāna silsile vaale
sāqi-e-mai-kada ko kyā ma.alūm
kitne pyāse haiñ mai-kade vaale
mere beTe sañbhal ke chalnā tū
rāste ye haiñ hādse vaale
koī manzar nahīñ purānā ab
ḳhvāb āñkhoñ meñ haiñ na.e vaale
ahmiyat hai bahut 'riyāz' in kī
peḌ mat kaaT ye hare vaale
zindagani se ruThne wale
lab pe qisse na la bure wale
kaT rahi hai musibaton mein hayat
ab kahan roz-o-shab maze wale
baadshahon se hum ko kya matlab
hain faqirana silsile wale
saqi-e-mai-kada ko kya malum
kitne pyase hain mai-kade wale
mere beTe sanbhal ke chalna tu
raste ye hain hadse wale
koi manzar nahin purana ab
KHwab aankhon mein hain nae wale
ahmiyat hai bahut 'riyaz' in ki
peD mat kaT ye hare wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.