zindagi aaj ye kis moD pe le aai hai
zindagī aaj ye kis moḌ pe le aa.ī hai
bhiiḌ nazroñ meñ hai ehsās meñ tanhā.ī hai
ye alag baat ki anjān nazar aa.ī hai
ziist se vaise to barsoñ kī shanāsā.ī hai
jaise aatā ho dabe paañv koī paas mire
is tarah dil ke dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
ye ḳhushī aur ye ġham hai ye fuġhāñ hai ye zabt
zindagī soch le jis meñ tirī achchhā.ī hai
ek duniyā ki hamāre liye bechain magar
ek vo shaḳhs ki ḳhāmosh tamāshā.ī hai
aap shohrat kī bulandī se utar kar dekheñ
aap ke qadmoñ se lipTī huī rusvā.ī hai
kyoñ na ash.ār meñ ho kaif vahī mere 'nasīb'
mai jalīlī hai to sāġhar mirā mīnā.ī hai
zindagi aaj ye kis moD pe le aai hai
bhiD nazron mein hai ehsas mein tanhai hai
ye alag baat ki anjaan nazar aai hai
zist se waise to barson ki shanasai hai
jaise aata ho dabe panw koi pas mere
is tarah dil ke dhaDakne ki sada aai hai
ye KHushi aur ye gham hai ye fughan hai ye zabt
zindagi soch le jis mein teri achchhai hai
ek duniya ki hamare liye bechain magar
ek wo shaKHs ki KHamosh tamashai hai
aap shohrat ki bulandi se utar kar dekhen
aap ke qadmon se lipTi hui ruswai hai
kyon na ashaar mein ho kaif wahi mere 'nasib'
mai jalili hai to saghar mera minai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.