zindagi ab teri be-masraf hai ghar ko chhoD de
zindagī ab terī be-masraf hai ghar ko chhoḌ de
ḳhushk pattā jis tarah apne shajar ko chhoḌ de
ḳhvāhishoñ ke pur-ḳhatar jangal meñ āvāra na ghuum
duur manzil se jo kar de us Dagar ko chhoḌ de
dā.eroñ ke is safar kī intihā koī nahīñ
lauT mehvar kī taraf aise safar ko chhoḌ de
kyoñ na sayyāre bhī ulTī chaal hī chalne lageñ
aadmī jab ādamiyyat kī Dagar ko chhoḌ de
hai faqīh-e-shahr kī ḳhud qātiloñ se sāz-bāz
DhūñD mat insāf us se us ke dar ko chhoḌ de
ban ga.e haiñ paañv kī zanjīr tere bām-o-dar
zauq-e-manzil hai to apne bām-o-dar ko chhoḌ de
TūTtā hai jab koī rishta to bhar aatā hai dil
phir bhī aañsū poñchh naḳhl-e-be-samar ko chhoḌ de
tere āñchal kī havā us ke muqaddar meñ kahāñ
ġham se ghabrā kar jo terī rahguzar ko chhoḌ de
us ne sīkhā bhī to kyā sīkhā zamāne se 'shabāb'
dūsre ke aib jo le le hunar ko chhoḌ de
zindagi ab teri be-masraf hai ghar ko chhoD de
KHushk patta jis tarah apne shajar ko chhoD de
KHwahishon ke pur-KHatar jangal mein aawara na ghum
dur manzil se jo kar de us Dagar ko chhoD de
daeron ke is safar ki intiha koi nahin
lauT mehwar ki taraf aise safar ko chhoD de
kyon na sayyare bhi ulTi chaal hi chalne lagen
aadmi jab aadamiyyat ki Dagar ko chhoD de
hai faqih-e-shahr ki KHud qatilon se saz-baz
DhunD mat insaf us se us ke dar ko chhoD de
ban gae hain panw ki zanjir tere baam-o-dar
zauq-e-manzil hai to apne baam-o-dar ko chhoD de
TuTta hai jab koi rishta to bhar aata hai dil
phir bhi aansu ponchh naKHl-e-be-samar ko chhoD de
tere aanchal ki hawa us ke muqaddar mein kahan
gham se ghabra kar jo teri rahguzar ko chhoD de
us ne sikha bhi to kya sikha zamane se 'shabab'
dusre ke aib jo le le hunar ko chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.