zindagi aisi saza hai ki saza bhi to nahin
zindagī aisī sazā hai ki sazā bhī to nahīñ
dil dhaḌaktā hai dhaḌakne kī sadā bhī to nahīñ
kyā ḳhad-o-ḳhāl the kuchh yaad rahā bhī to nahīñ
aisā bachhḌā koī muddat se milā bhī to nahīñ
āhaTeñ kyā tire qadmoñ kī sunā.ī deñgī
ab ki pahlū meñ dil-e-naġhma-sarā bhī to nahīñ
rah-navardān-e-rah-e-ishq bhaTak hī na sakīñ
itne tābinda nuqūsh-e-kaf-e-pā bhī to nahīñ
yuuñ tirī yaad meñ ik 'umr guzārī ki mujhe
apnī tanhā.ī kā ehsās huā bhī to nahīñ
kis ko rūdād-e-ġham-e-ishq sunā.ī jaa.e
dasht meñ aur koī ābla-pā bhī to nahīñ
ek muddat se koī zaḳhm-e-dil-o-jāñ 'nashtar'
be-niyāz-e-karam mauj-e-sabā bhī to nahīñ
zindagi aisi saza hai ki saza bhi to nahin
dil dhaDakta hai dhaDakne ki sada bhi to nahin
kya KHad-o-KHal the kuchh yaad raha bhi to nahin
aisa bachhDa koi muddat se mila bhi to nahin
aahaTen kya tere qadmon ki sunai dengi
ab ki pahlu mein dil-e-naghma-sara bhi to nahin
rah-nawardan-e-rah-e-ishq bhaTak hi na sakin
itne tabinda nuqush-e-kaf-e-pa bhi to nahin
yun teri yaad mein ek 'umr guzari ki mujhe
apni tanhai ka ehsas hua bhi to nahin
kis ko rudad-e-gham-e-ishq sunai jae
dasht mein aur koi aabla-pa bhi to nahin
ek muddat se koi zaKHm-e-dil-o-jaan 'nashtar'
be-niyaz-e-karam mauj-e-saba bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.